SEO(search engine optimization) tutorial in Hindi/Urdu
Search engine se basically matlab hai ki software ka ek set hota hai jiske paas apne data centres me duniya ki tamam sites ke ikattha ki hui information hoti hai. jab bhi koi user ya net surfer uske search box me jakar koi bhi term search karta hai search engine ki bhasa me search term koi query kehte hai karta hai or jaise hi search butten par click karta hai. Search engines crawler jata hai or us query ke sabse jyada relevant results jo hote hai unhe user ko search page par second ke bhi one forth hisse me lakar user ko dikhata hai.
Basically search engines teen cheejo ki madad se users ko results provide karte hai
Crawling Caching Indexing
sabse pehle me aapko yeh bataa do ki crawlers hai kya. har search engine ka apna ek crawler hota hai. jise hum spider bhi kehte hai. basically crawller jo hai wo kisi website par jata hai or wo us website ki root directory se crawl karna start karta hai or website par jaha jaha use follow links milte hai acording another pages un sab ko wo crawl kar ke chala jata hai. hota yuan hai ki duniya bhar me crore se bhi jyada website hai toa ye crawler jo hote hai wo kisi website par second ke one fourth hisse se bhi kam vaqt ke liye aate hai or crawl kar kar chale jate hai. is technque ko crawlling kehte hai.
caching (cache) bhi search engine ka hi ek process hai jisme crawller ke dwara crawl page ka search engine ek snapshot create karta hai jo ki same waisa hi hota hai jisa ki wo page hai usme sari information waisi hi hoti hai jaise actual page me hoti hai snapshot me date or time include hota hai kab search engine ke crawler ne is page ko crawl kiya hai or us par ek link or hota hai jo users ko batata hai ki is page currant time me kaisa dikhta hai.
Indexing(index) search engine ke nazariye se bahoot hi mahatvpoorn hai jisme search engine ye decide karta hai ki is page ki jo information hai wo use kaha save kare taki jab bhi koi user is term ko search kare tab me use ye result show kar sakoo.
Search engines ne apne data centers me lakho catagory banai hoti hai jisse use kisi bhi page ko jald se jald find karne me aasani hoa.crawl kiye huye data ko sahi catagory me dalna hi indexing kehlata hai.
Sometime koi page pehle index hota hai or baad me cache hota hai. lekin basically pehle crawl hota hai than cache and than index hota hai.
Search engine inhi teeno moolbhoot chigo ko poora kar users ko results show karata hai
मुझे अपने फेसबुक पर ज्वाइन करे और ईमेल के थ्रू भी सब्सक्राइबर करे जिससे की आपको जल्द ही मेरे पोस्ट का पता चला जायेगा (join us on Facebook/Twitter & subscribe me)